Saare Jahaan Se Achha Hindostaan Hamaara
Ham Bulbule Hain Iski, Yeh Gulsitaan Hamaara
Gurbat Mein Ho Agar Ham, Reh Hai Dil Watan Mein
Samjho Wahi Hamein Bhi, Dil Ho Jahaan Hamaara
Parbat Wo Sabse Ooncha, Hamsaaya Aasmaan Ka
Wo Santari Hamaara, Wo Paasbaan Hamaara
Godi Mein Khelti Hai, Iski Hazaaron Nadiyaan
Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashq-E-Hina Hamaara
Aye Aab-E-Rood-E-Ganga, Woh Din Hai Yaad Tujhko
Utra Tere Kinaare Jab Kaarawaan Hamaara
Mazhab Nahin Sikhaata, Aapas Mein Bair Rakhna
Hindi Hain Ham, Watan Hai Hindostaan Hamaara
Yunaan-O-Misr-O-Ruma, Sab Mita Gaye Jahaan Se
Ab tak Magar Hai Baaqi Naam-O-Nishaan Hamaara
Tauheed Ki Amaanat Seenon Mein Hai Hamaare
Aasaan Nahin Mitaana Naam-O-Nishaan Hamaara
3 comments:
Mazhab Nahin Sikhaata, Aapas Mein Bair Rakhna
Hindi Hain Ham, Watan Hai Hindostaan Hamaara
Ma'sha Allah...!
Wah kya baat hai ham sab aise hi milkar rahna chahte hain
Post a Comment