Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana


Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana





Saink'roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke

Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana





Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai

Muhjey Insaan Samjh Khud Ko Farishta Na Bana





Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey

Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana





Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon

Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana




Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain

Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana

0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © Urdu Poetry