Woh mere har jhoot se khush hota tha
Jise hamesha sach bolne ki aadat thi
Woh ek aanso bhi girne per khafa hota tha
Jise tanhaai mein rone ki aadat thi
Woh kehta tha ke mujhe bhool jaye ga
Jise meri har baat yaad rakhne ki aadat thi
Hamesha maafi mangne ke dar se
Roz galtiyan kerna us ki aadat thi
Woh jo dil o jaan nichaver kerta tha mujh per
Magar choti si baat per rothna us ki aadat thi
Hum us ke saath chal diye yeh jante huwe bhi
Raah mein har ek ko chor dena us ki aadat thi
0 comments:
Post a Comment