Oct
13
1

Mere Humsafer, mere Hum-nasheen

Mere Humsafer, mere Hum-nasheen


Main ne Rab se manga to kuch nahi


Per jub bhi mangi koi dua!


Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”


Ye talab kya k mera Khuda!




Naye ehad ki
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,


Wo ata kre tujhe manzlain,


Ye talab kya k mera Khuda!


Tujhe Bakht de,


Tujhe Taj de


Tujhe Takht de,


Mere Humsafer,


Mere Chara-ger,


Ye hai mohabbat ka khatan safer


Mere sath chalna zra soch ker


Mere pass zarr na koi hunar


Phir bhee dekh to mera hosla


Mere paas jo kuch, Sabhi tera


Nahi aur kuch bhi tere siwa


Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,


K jo mil saken mere Daam bhi,


Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;


Mere chara gr tu yaqin to kr


Mujhe mangna to na aa ska


Main ne phir bhi mangi yehi Dua


K gwahi de ga mera Khuda


Maine jub b us se talab kya!


Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”






by
Sonia Waqas

Oct
1
0

akhon Thy Ghum'gusar

 akhon Thy Ghum'gusar
Abi Kal Ki Baat Hy
Kitna Tha Hum Se Pyar
Abi Kal Ki Bat Hy

Khwab-o-Khyal Me B
Na Tha Khizan Ka Gumaan
Aai Thi Ek Bahaar
Abi Kal Ki Baat Hy

Ek Be'kasi Me Koi
Ab Pochta Nahi
Kitna Tha Soog'war
Abi Kal Ki Baat Hy

Majboor Hon
Bhula Nahi Skta Teri Yaad
Tha DIL Py Kitna Ikhtiyar
Abi Kal Ki Baat Hy

Ab Baat Tak Krna
Gawara Nahi Krty
Jo Krty Thy jan Nisar
Abi Kal Ki Baat Hy


by
hania sajjad

0

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko


Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

Source

Bollywood Movies

0

JANTI HOON TUM MERE HO NAHI SAKTY


 JANTI HOON TUM MERE HO NAHI SAKTY,,
JANNE KIU,

TUM SE BAATTY KARNA,

TUMHARE SAAT WAQQT GUZARNA,

MUJHAI ACHA LAGTTA HAI,

JANTI HOON
TUM MERE HO NAHI SAKTY,

YE ZADE DIL KO KSAY SAMJHAO,

NAA JANE KIA BAAT HAI ESE,

TERE LEHJE KI TASER MIN KHAO SAA JAATA HAI,

AJEB SOROR SA CHA JAATA HAI

DILL MAIN NASHA BAN K UTTAR SA JATTA HAI,

JANTI HOON TUM MERE HO NAHI SAKTY,

DIL MAIN DARD KI LEHR UTHE HAI

EK WEHSHAT SE CHA JATI HAI

JAB MAIN YE KABI YE SOHTI HOON

TUM MERE HO NAHI SAKTY.... :(

Jab raat ky tanha daman mein


Jab raat ky tanha daman mein"

"Tum chand ko madham pao gay"

"Jab khud sy batain karty karty"

"Tum door kahin kho jao gay"

"Jab dil ki baat chupanay ko"

"Tum hum sy nazar churao gay"

"Hum tum sy muhabat krtay hain"

"Her baar ye kehna chaho gay"

"In sab lamhon mein jaan lena"

"Tum,TUM se HUM bn jao gy .

by
hania sajjad

0

Dil Udaas Hai Bohut


Dil Udaas Hai Bohut Koi Paigaam Hi Likh Do
Tum Apna Naam Na Likho, Gum-Naam Hi Likh Do

Meri Qismat Mein Gham-E-Tanhai Hai Lekin
Tamaam Umr Na Likho Magar Ek Shaam Hi Likh Do

Zaroori Nahi Ki Mil Jaye Sukoon Har Kisi Ko
Sare-E-Bazm Na Aao Magar Benaam Hi Likh Do

Ye Janta Hoon Ki Umr Bhar Tanha Mujhko Rehna Hai
Magar Pal Do Pal,Ghadi Do Ghadi, Mere Naam Hi Likh Do

Chalo Hum Maan Lete Hai Ke Saza Ke Tehre Hum
Koi Inam Na Likho Koyi ilzam Hi Likh Do

0

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

shaam ke waqt safar kyaa karte

terii masrufiyateN jaante the

apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye

le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

wo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa

saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii

kar ke zarre ko gauhar kyaa karte —

by
nisa zain

Sep
24
0

Tu Ne Jo Chonk Kar

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi


by
shaheen ikhlaq

0

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhey

Sep
9
0

Main nahi hon apny wajood me

"Main nahi hon apny wajood me...

"Mujhe janay kis nay chura liya...

"Mere sath rehta hai ek shakhs...

"Koi jadoo us nay chala diya...

"Meri rooh me wo sama gaya...

"Mujhe ishq karna sikha diya...

"Meri zindagi wo ban gaya...

"Mujhe jeena us nay sikha diya...

"Main to khud se bhi the na aashna...

"Mujhe mujh se us nay mila diya...

"Meri zindagi ko badal diya...

"Muje khush naseb bana diya.

by hania sajjad

0

Hamen Tum Bhool Jao Gy

Hamen Tum Bhool Jao Gy Maloom Hy Lekin,

... Palat Kar Jab Bhi Aao Gy Mohabbat Muntazir Hogi,

Kabi Bhooly Se Hi Mujh Ko Agar Tum Yaad Kar Betho,

Meri Tasbeeh Tilawat Or Ibadat Muntazir Hogi,

Falak K Paar Ja Utro Samandar Paar Ja Thehro,

Kisi K Dasht-e-Chahat ki Imamat Muntazir Hogi,

Hamari Aarzoo Jo Hy Tumhari Dastras Me Hy,

Milo Na Tum Milo Lekin Mohabbat Muntazir Hogi.

by hania sajjad

Mujhe ab dar nahi lagta

URDU POETRY


Mujhe ab dar nahi lagta
kisi k door jane se


Ta'luq Tot jane se
kisi k maan jane se
kisi k roth jane se


Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko azmane se


kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se


kisi ko bhol jane se
Mujhe ab dar nahi lagta


Kisi ko chor dene se
kisi k chor jane se


Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se


Mujhe ab dar nahi lagta
Akele muskrane se


kabhi ansoo bhane se
Na is sare zmane se


Haqeeqat se fasane se
Mujhe ab dar nahi lagta


Kisi ki na'rasai se
Kisi ki parsai se


Kisi ki bewafai se
Kisi dukh intehai se


Mujhe ab dar nahi lagta
Na to is paar rehne se


Na to us paar rehne se
Na apni zindgani se


Na ik din mout aane se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta............!


by sabika tariq
0

SAth rotI ThI, Mere Sath HansA KarTi thI

SAth rotI ThI,Mere Sath HansA KarTi thI........?


Wo LaRki Jo Mery DIl MAi BAsa karti ThI........?


MEri ChahAt Ki TalaBgar thI wo IS darJa........?


ke Wo musALLy PeR Namazon Mai Dua kARti thI.........?


IK laMhay KA bi BIcharna guNwara na tHA usko..........?


... ROty Roty Wo MujH Se ye Kaha KArti ThI................?


ROg diL KO JO LAga beTHI TI anjanY MAi .........?


mERY aghOsh MAi MArny Ki DUa KArti THi.......?


BAAt QIsmaT Ki THi KE door HO GEye HAm....?


=meri jaN=


WarNA" wo tO mUJhe TAqdeEr KAha KArtI ThI...?


by ZEESHAN ZEE
0

Mana k tere Dil main koi Or Makeen hay

Mana k tere Dil main koi Or Makeen hay


Tu phr B Mera Gham hy AQida hy YaQeen hay


Ye Aainey tujhko Teri Khaber Dy Na Payen gey


Aa Dekh Meri Aankh sy tu kitna Haseen hay


Main Jaber k Sajdoon sy kahin Toot Na Jaon


Pather k Khudao meri Sheeshey ki Jabeen hay


Palko se trasha tha Kbhi Hum ny jo Heera


Mat Poch ab wo Kis ki Anguthi ka Nageen hay


Maana K tery Dil main koi Or Makeen hay


Tu phir B Mera Gham hay
AQeeda hay YaQeen hay.


by hania sajjad
0

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai


kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai


magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai


wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai


'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai
0

Suno Ae chand c larki

Suno! Ae chand c larki 
Abhi tum Titlyan pakro 


Ya phir maasoom c ankhon say 
Dhairon …khawab dekho tum 

…Faraz-o-Faiz o Mohsin ki 
Kitaabyn mt abhi parhna 

Ye sab lafzon k shaair hain 
Tumhain uljha k rakh dayn gay 

Tumhain Maloom hi kab hai 
Muhabbat k libaaday mai 
Hawas aur Hirs hoti hai 

Ye insanon ki dunya hai 
Magr in say kahin barh kar 
yahan wehshi darinday hain 

Wo wehshi jin ki ankhon me 
Machaltay piaar k peechay 
Hawas aur hirs hoti hai


by hania sajjad
0

Chalo Kuch Dair Hastay Hain

Chalo Kuch Dair Hastay Hain 
Muhabbat par Inayat par

K b-bunyad baten hain 
Sabhi rishtay Sabhi Natay 

Zarurat ki Hain Eejaaden 
Kahin Koi nahi merta Ksi k Wastay jana

K sub hai Phair lafzoon ka 
Hai sara Khail herfon ka

Nahi hai mehboob koi b
Sabhi Jumlay say kastay hain

Chalo Kuch dair Hastay hain
Usi ko Yaad kertay Hian

Jisay hum Zeest Kehtay hain
K lena Sans Bin jis k

Humain Ik Jurm Lagta Tha
Bala ka taiz Lagta Tha

Jo Saya Bun k Rehta Tha
Juda Ab Us k rastay hain

Chalo kuch Dair Hastay hain

by; hania sajjad

Source

Bollywood Movies

 

Mairay wajood ke jageer

 Mairay wajood ke jageer us ne mangi hai

Ajab khwab ke tabeer us ne maangi hai

Us ke qaid main rahti hoon main pahlay bhe

Na janay phir keon zanjeer us ne mangi hai

Gumaan hota hai wo bhool sakta hai mujhay

Keon k aj mairy tasveer us ne mangi hai

Mairay Khuda mujhay us k naseeb main likh de

Keh mujh se mairy taqdeer us ne mangi hai…

HANIA SAJJAD

0

Rete Adat Hai Mera Shoq Nahi

Rete Adat Hai Mera Shoq Nahi
Ye Jazbaat Jagati Hai Tabhi Peeta Hoon


Aadhi Raat K Wqt Mai Pagal Tou Nahi
Teri Yaad Satati Hai Tabhi Peeta Hoon


Iss Cigrete Mai Fazeelat Tou Koi Nahi
Yeh Fikr Mitati Hai Tabhi Peeta Hoon


Mai Janta Hu Mujhe Kuch Nahi Milna Is Sey
Ye Meri Umer Ghatati Hai Tabhi Peeta Hoon..!
0

Mere Hu Mnawa teri Berukhi

Mere Hu Mnawa teri Berukhi
Dil-e-Mubtila ki Shikast haI …




“Isay kis tarhan Main kahon Fanah
Ye Meri ANNA ki Shikast haI …




“Tu chala gaya Mujhe Chor kar
... Main ne phir bhi tujh ko Sadaaein deiN …




“Mere HuMsafar tu Ruka nahi
Yeh Meri Sada ki Shikast haI …




“Tujhe La k Dil Main Bitha diya
Tujhe Raaz her ik Bata diyA …




“Tu ne phir bhi koi Wafa na ki
Yeh MERI Wafa ki Shikast haI …




0

Itna Qareeb Aao ke

Itna Qareeb Aao K Jee Bhar K Dekh Lein,


Shayad K Phir Milo To Ye Zaoq-e-Nazar Na Ho,






Nahin Dekhta Ab Main in Darr-o-Deewar ko,



Kia pata Ab in mein Tera Aks Na Ho




,

Aksar Sochta hun Main Tanhai mein Beth Kar

,
Ke ab Tujhe wo Beetha hua Kal Yad ho ke Na ho

,



Ji bhar Ke Dekh Lene do Apni Soorat Ay Jan-e-Tamanna,



Kia Pata ke Shaam Phir Ho ke Na ho,






Choro Ab Milne ki Khwahish Ay Aem,



Kia Pata Un ko Wo Shakhs Yad ho Ke Na Ho....


Aug
9
0

Ye kon shakhs hai jo meri bat nahi sunta

Ye kon shakhs hai jo meri bat nahi sunta
Me chalta hun to wo mere sath nahi chalta

Andheri raat me tanha beth kar
Me jalta hun to wo mere sath nahi jalta

Main is qabi to hun ke wo mujh se baat kare
Main khwab dekhta hun to wo meri tabeer nahi banta

Barson pehle us ne ek baat kahi thi
ke me pyar to karta hun magar izhar nahi karta

Ek ye hi us ke pyar ki Qaid kafi hai "wasi"
Wo Zanjeer hila deta hai, magar azaad nahi karta.


Jul
12
0

Hai dua yaad magar Harf e Dua yaad nahi

URDU POETRY


Hai Dua Yaad Magar Harf e Dua Yaad Nahi


Meray Naghmaat ko Andaaz e Nawa Yaad Nahi


Maine Palkon Se Darr e Yaar Pe Dastak Di Hai


Main Wo Sa'il Hoon Jissay Koi Sadaa Yaad Nahi


Maine Jin K Liye Rahon Main Bichaya Tha Lahu


Ham Se Kehtay Hain Wohi Ahd eWafa Yaad Nahi



Kaisay Bhar Aaeen Sar e Shaam Kisi Ki Ankhain


Kaisay Tharraee Chiragon Ki Ziya Yaad Nahi



Sirf Dhundhlae Sitaron Ki Chamak Dekhi Hai


Kab Hua Kon Huwa Kis Se Khafa Yaad Nahi



Zindagi Jabr e Musalsal Ki Tarha Katti Hai


Janay Kis Jurm Ki Pae Hai Saza Yaad Nahi



Aao Ikk Sajda Karain Aalam e Madhoshi Main


Kehtay Hain k Sagar Ko Khuda Yaad Nahi


--Sagar Siddiqui
0

Jab wo neend se jage to

JAB WO NEEND SE JAAGE TO USE BATA DENA
KE SAARI RAAT TERE PAAS JAGA THA KOI

TUM NE JAB NEEND ME HATHON KO PAKRA THA US KE, 
US SHAB E WISAL SAKTY ME PARR GAYA THA KOI

JAB BHI AAYI KOI MUSKAN TERE CHEHRAY PE
HAAN PHIR DHEERY SE BOHAT MUSKURA DIYA THA KOI

JAB BHI TAKYA TERE SIR SE HAT JATA THA
PHIR APNI GOAD ME SIR RAKH K SULATA THA KOI

TUM SARI RAAT YUNHI BE KHABAR SOTE RAHEY,
SAARI RAAT TUJHE CHAHAT SE SULATA THA KOI


0

Koi aisa bhi huwa kare

KOI AYSA BHI HUWA KARE
MERI DHADKANO KO SUNA KARE

MAIN YE ZINDAGI US PE WAAR DOON
JO KHULOOS E DIL SE WAFA KARE

MERE KARB KO WO SAMAJH SAKE
MERE DARD KI WO DAWA KARE

MUJHE US KE ISHQ PE NAAZ HO
WO TALAB ME MERI RAHA KARE

MERI LAAJ US KA GHUROOR HO
MERI ZAAT KA WO DIFA KARE

MAUSAM KE AZAAB ME
WO BAHAR BAN KE MILA KARE

JO ZUBAN MERI KAHMOSH HO
TO JHAANK DIL ME LIYA KARE

MERA DUKH US KA DARD HO
MERE SAATH WO BHI JALA KARE


Jun
12
12

Umeed abhi kuch baqi hai

Ek basti basne wali hai,

Jis basti me koi zulm na ho
or jeena koi jurm na ho,

wahan phool khushi ke khilte hon,
or Mausam saare miltay hon,

Bus rang o noor barastay hon
or saare hanste bastay hon,

Umeed hai aisi basti ki
Jahan jhoot ka karobar na ho,

Dehshat ka bazar na ho
Jeena bhi dushwar na ho,

Marna bhi aazar na ho
Ye basti kash tumhari ho
ye basti kash hamari ho,

Wahan Khoon ki holi aam na ho'
us aangan gham ki shaam na ho,

Jahan munsif se insaaf mile
Dil sab ka sab se saaf mile,

Ik aas hai aisi basti ho
Jahan ROTI zehar se sasti ho,

Umeed abhi kuch baqi hai
Ek basti basne wali hai,


Source

Bollywood Movies

Jun
3
0

Judayi ke aziyyat se.


Judayi ke aziyyat se..
Mera dil ab b darta hai

Judayi do garhi ke ho
to koi dil ko samjaye

judayi char pal ke ho
to koi dil ko behlaye

Judayi umer bhar ke ho.....
to kia chara karay koi

k ek milnay ke hasrat me
bala kb tak jiye koi.

mere Mola karam kr de...!
tu aisa kr b skta hai

meray hatho ke janib dhek...
Inhain Tu bhar b skta hai.......!!

May
25
26

Googngi Ho gayi Zuban (Allama Iqbal)




Goongi ho Gai aaj Zuban kuch kehte kehte
Hichkicha gaya main khud ko musalman kehte kehte

Ye baat nahi keh mujh ko Us par yaqeen nahi
Bas dar gaya khud ko Saahib e Imaan kehte kehte

Tofeeq na huwi mujhe ek waqt ki namaaz ki
Aur chup huwa moazzan Azaan kehte kehte

Kisi kafir ne jo poocha ke ye kia hai Maheena?
Sharam se paani haath se gir gaya, Ramzan kehte kehte

Meri almaari me gard se atti KITAAB ka jo Poocha,
Main garh gaya zameen main, Quraan kehte kehte

Yeh sun ke chup saadh li "IQBAL" us ne
Yoon laga jese ruk gaya wo mujhe, Hewaan kehte kehte.

Bollywood Movies


May
24
0

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana


Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana





Saink'roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke

Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana





Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai

Muhjey Insaan Samjh Khud Ko Farishta Na Bana





Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey

Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana





Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon

Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana




Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain

Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana

 
Copyright © Urdu Poetry