URDU POETRY
Mujhe ab dar nahi lagta
kisi k door jane se
Ta'luq Tot jane se
kisi k maan jane se
kisi k roth jane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko azmane se
kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se
kisi ko bhol jane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko chor dene se
kisi k chor jane se
Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Akele muskrane se
kabhi ansoo bhane se
Na is sare zmane se
Haqeeqat se fasane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ki na'rasai se
Kisi ki parsai se
Kisi ki bewafai se
Kisi dukh intehai se
Mujhe ab dar nahi lagta
Na to is paar rehne se
Na to us paar rehne se
Na apni zindgani se
Na ik din mout aane se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta............!
by sabika tariq
kisi k door jane se
Ta'luq Tot jane se
kisi k maan jane se
kisi k roth jane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko azmane se
kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se
kisi ko bhol jane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ko chor dene se
kisi k chor jane se
Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Akele muskrane se
kabhi ansoo bhane se
Na is sare zmane se
Haqeeqat se fasane se
Mujhe ab dar nahi lagta
Kisi ki na'rasai se
Kisi ki parsai se
Kisi ki bewafai se
Kisi dukh intehai se
Mujhe ab dar nahi lagta
Na to is paar rehne se
Na to us paar rehne se
Na apni zindgani se
Na ik din mout aane se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta............!
by sabika tariq
1 comments:
GOOD
Post a Comment