ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

shaam ke waqt safar kyaa karte

terii masrufiyateN jaante the

apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye

le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

wo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa

saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii

kar ke zarre ko gauhar kyaa karte —

by
nisa zain

0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © Urdu Poetry