Showing posts with label badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai. Show all posts
Showing posts with label badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai. Show all posts
0

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai


kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai


magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai


wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai


'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai
 
Copyright © Urdu Poetry