Yeh Aankhen Bohat Satati Hain





Muhammad Imtiaz Khan
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain

Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain

Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain

Bas Apni Baat Manwati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain

Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain

Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain

Thak Haar Ke Wapis Aati Hain

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai

Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai

Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai

Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai

Yeh Aankhen Bohat Satati Hain




0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © Urdu Poetry