Kabhi yaad aao to iss tarah

URDU POETRY

Kabhi yaad aao to iss tarah Kay lahoo ki saari tamazatain
Tumhain dhoop dhoop samait lain Tumhain rang rang nikhar dain
Tumhain harf harf main soch lain!!!
Tumhain daikhnay ka jo shouq ho
To dayar-e-hijr ki teergi Ko mizha ki nauk say naoch lain!

Kabhi yaad aao to iss tarah Ke dil-o-nazar main utar sako
Kabhi had say habs-e-junoon badhe To hawaas ban ke bhikhar sako
Kabhi khul sako shab-e-wasl main Kabhi khoon-e-dil main sanwar sako
Sar-e-rahguzar jo milo kabhi
Na thahur sako na guzar sako!

Mera dard phir say ghazal bunay Kabhi gungunao to iss tarah
Meray zakhm phir say gulaab hoon Kabhi muskaraoo to iss tarah
Meri dhadhkanain bhi larz uthain Kabhi chaut khao to iss tarah

Jo nahin to phir baday shouq say Sabhi raabtay sabhi zaabtay
Kabhi dhoop chaon main tod do! Na shikast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azaab-e-jaan Na kisi say apni khalish kaho
Yunhi khush phiro yunhi khush raho

Na ujar sakain na sanwar sakain Kabhi dil dukhao to iss tarah
Na simat sakain na bikhar sakain Kabhi bhool jao to iss tarah
Kissi taur jaan say guzar sakain Kabhi yaad aao to iss tarah!!!

1 comments:

Anonymous said...

I often come back to this piece. what lovely writing!

Post a Comment

 
Copyright © Urdu Poetry