Ai Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se
Nafrat Gah-E- Aalam Se, Laanat Gah-E-Hasti Se
In Nafs Paraston Se, Is Nafs Parasti Se
Door Aur Kaheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Maghrib Ki Hawaon Se Aawaz Si Aati Hai
Aur Hum Ko Samandar Ke Us Paar Bulaati Hai
Shayad Koi Tanhaai Ka Daiss Bataati Hai
Chal Us Ke Qareen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Hum Prem Pujaari Hain Tu Prem Kanhayya Hai
Tu Prem Kanhayya Hay Ye Prem Ki Nayya Hai
Ye Prem Ki Nayya Hay, Tu Is Ka Khiwayya Hai
Kuch Fik'r Nahin Le Chal
Ai Ishq Keheen Le Chal
Ye Dard Bhari Duniya Basti Hai Gunahon Ki
Dil Chaak Umeedon Ki, Saffaak Nigahon Ki
Zulmon Ki, Jafaon Ki, Aahon Ki, Karahon Ki
Hain Ghum Se Hazeen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Aankhon Main Samaai Hai, Ik Khwaab-Numa Duniya
Taaron Ki Tarah Raushan, Mehtaab-Numa Duniya
Jannat Ki Tarah Rangeen, Shadaab-Numa Duniya
Lillah Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Ai Ishq Humain Le Chal Ik Noor Ki Vaadi Main
Ik Khwaab Ki Duniya Main, Ik Toor Ki Vaadi Main
Khoron Ke Khayalaat-E- Masroor Ki Vaadi Main
Ta-Khuld-E- Bareen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Ik Aisi Fiza Jis Tak Ghum Ki Na Rasaai Ho
Duniya Ki Hawa Jis Main Sadiyon Se Na Aai Ho
Ai Ishq Jahan Tu Ho Aur Teri Khudaai Ho
Ai Ishq Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Ik Aisi Jagah Jis Main Insaan Na Baste Hon
Ye Makr-O Jafa Pesha Haiwaan Na Baste Hon
Insaan Ki Qaba Main Yeh Shaitaan, Na Baste Hon
To Khouf Nahi Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
In Chaand Sitaron Ke Bikhre Huwe Shehron Main
In Noor Ki Kirnon Main Tehri Hoi Lehron Main
Thehri Hui Lehron Main, Soi Hui Nehron Main
Ai Hizr-E- Haseen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
Ik Aisi Bahisht Aain Vaadi Main Pahunch Jain
Jis Main Kabhi Duniya Ke Ghum Dil Ko Na Tadpaain
Aur Jis Ki Baharon Main Jeene Ke Maze Aain
Le Chal, Tu Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
by: Asif Khan
0 comments:
Post a Comment