"December ki sard hawaoo"
Us se milo to kehna
K aaj bhe
Us ki yaad
Kisi k dil main
...Mustaqil
Khaima zan hay
Koi aaj bhe usay
Uthtay,bethtay,sotay,jagtay,
Hanstay,rotay
Yaad karta hay
December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna
K aaj bhe
Kisi ki palkain
Sir e sham he
Us k intizar main
Beech jati hain,
Aaj bhe koi
Us kay liye
Udas rehta hay
December ki sard hawaoon
Us se milo toa kehna
K aaj bhe
Kisi k din rat
Us kay bin
Sogawar guzertay hain,
Aaj bhe
Kisi ki aankhain
Us kay liye
Num rehti hain
"December ki sard hawaoon"
Andar ka Musafir- Saeeda Khatoon Azeemi -Final Part
-
Andar ka Musafir Saeeda Khatoon Azeemi Final Part
Urdu Audio Book - Andar ka Musafir- Saeeda Khatoon Azeemi - Final Part.
Spiritual Sufi Books by Silsil...
1 year ago
0 comments:
Post a Comment