URDU POETRY
Hai Dua Yaad Magar Harf e Dua Yaad Nahi
Meray Naghmaat ko Andaaz e Nawa Yaad Nahi
Maine Palkon Se Darr e Yaar Pe Dastak Di Hai
Main Wo Sa'il Hoon Jissay Koi Sadaa Yaad Nahi
Maine Jin K Liye Rahon Main Bichaya Tha Lahu
Ham Se Kehtay Hain Wohi Ahd eWafa Yaad Nahi
Kaisay Bhar Aaeen Sar e Shaam Kisi Ki Ankhain
Kaisay Tharraee Chiragon Ki Ziya Yaad Nahi
Sirf Dhundhlae Sitaron Ki Chamak Dekhi Hai
Kab Hua Kon Huwa Kis Se Khafa Yaad Nahi
Zindagi Jabr e Musalsal Ki Tarha Katti Hai
Janay Kis Jurm Ki Pae Hai Saza Yaad Nahi
Aao Ikk Sajda Karain Aalam e Madhoshi Main
Kehtay Hain k Sagar Ko Khuda Yaad Nahi