12

Umeed abhi kuch baqi hai

Ek basti basne wali hai,

Jis basti me koi zulm na ho
or jeena koi jurm na ho,

wahan phool khushi ke khilte hon,
or Mausam saare miltay hon,

Bus rang o noor barastay hon
or saare hanste bastay hon,

Umeed hai aisi basti ki
Jahan jhoot ka karobar na ho,

Dehshat ka bazar na ho
Jeena bhi dushwar na ho,

Marna bhi aazar na ho
Ye basti kash tumhari ho
ye basti kash hamari ho,

Wahan Khoon ki holi aam na ho'
us aangan gham ki shaam na ho,

Jahan munsif se insaaf mile
Dil sab ka sab se saaf mile,

Ik aas hai aisi basti ho
Jahan ROTI zehar se sasti ho,

Umeed abhi kuch baqi hai
Ek basti basne wali hai,


Source

Bollywood Movies

0

Judayi ke aziyyat se.


Judayi ke aziyyat se..
Mera dil ab b darta hai

Judayi do garhi ke ho
to koi dil ko samjaye

judayi char pal ke ho
to koi dil ko behlaye

Judayi umer bhar ke ho.....
to kia chara karay koi

k ek milnay ke hasrat me
bala kb tak jiye koi.

mere Mola karam kr de...!
tu aisa kr b skta hai

meray hatho ke janib dhek...
Inhain Tu bhar b skta hai.......!!

 
Copyright © Urdu Poetry