0

Jo chlay to jaan say guzar gayee

Tujhe Kya Khabar Mere Haal Ki

Mere Dard Mere Malaal Ki

Yeh Mere Khayal Ka Silsila

Kisi Yaad Se Hai Milaa Hua

Usse Dekhna Usse Sochna
Meri Zindgi Ka Hai Faisla

Yeh Usi Ki Palkon Ke Saaye Hein

Meri Rooh Mein jo Utar Gaye

Yeh janoon-e- manzil-ee ishq hai

Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye

Mujhay is Muqaam Pay Chorna

Hai yeh Bewafi Ki inteha

Yeh Kafs ho jaisay Khuli Fiza

Yehi Sukh ka sans mein loon sada

Jinhain teri deed ki piyas thi

wo katoray nainoon say bhar gaye

Yeh janoon-e-- manzil-ee ishq hai

jo chlay to jaan say guzar gayee


Source

Bollywood Movies

1

Kabhi yaad aao to iss tarah

URDU POETRY

Kabhi yaad aao to iss tarah Kay lahoo ki saari tamazatain
Tumhain dhoop dhoop samait lain Tumhain rang rang nikhar dain
Tumhain harf harf main soch lain!!!
Tumhain daikhnay ka jo shouq ho
To dayar-e-hijr ki teergi Ko mizha ki nauk say naoch lain!

Kabhi yaad aao to iss tarah Ke dil-o-nazar main utar sako
Kabhi had say habs-e-junoon badhe To hawaas ban ke bhikhar sako
Kabhi khul sako shab-e-wasl main Kabhi khoon-e-dil main sanwar sako
Sar-e-rahguzar jo milo kabhi
Na thahur sako na guzar sako!

Mera dard phir say ghazal bunay Kabhi gungunao to iss tarah
Meray zakhm phir say gulaab hoon Kabhi muskaraoo to iss tarah
Meri dhadhkanain bhi larz uthain Kabhi chaut khao to iss tarah

Jo nahin to phir baday shouq say Sabhi raabtay sabhi zaabtay
Kabhi dhoop chaon main tod do! Na shikast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azaab-e-jaan Na kisi say apni khalish kaho
Yunhi khush phiro yunhi khush raho

Na ujar sakain na sanwar sakain Kabhi dil dukhao to iss tarah
Na simat sakain na bikhar sakain Kabhi bhool jao to iss tarah
Kissi taur jaan say guzar sakain Kabhi yaad aao to iss tarah!!!
0

Haakim-e-Shehr bata

Haakim-e-Shehr bata!
Waqt k Shikanjon ne,
Khawhishon k phoolon ko,
Noch noch tora hai,
Kaya ye zulm thora hai...?
...
Dard k jazeeron ne,
Aarzu k jeevan ko,
Maqbaron mein dala hai,
Zulmatton k daaeray hain,
Log sab luterey hain,

Maut rooth bethi hai,
Zaat reza reza hai,
Taar taar daman hai,
Dard dard jeewan hai,
Shabnami si Palkain hain,
Qurb hai na doori hai,
Zindagi adhoori hai..
Ab yaqeen aya
k..

"Maut Bhi Zaroori Hai
0

Guftugoo ke lamhon me


گُفتگو کے لمحوں میں

دیکھ ہی نہیں پاتے

ہم تمھارے چہرے کو

تم ہماری آنکھوں کو

آج ایسا کرتے ھیں

چشم و لب کو پڑھتے ھیں

بات چھوڑ دیتے ھیں

جانے کیا لمحہ ھوگا

جب یہ ھاتھ ھاتھوں سے

گر کبھی جُدا ھوگا

آج ایسا کرتے ھیں

ضبطِ جاں پرکھتے ھیں

ہاتھ چھوڑ دیتے ھیں

کاش کوئی سمجھا دے

لوگ کِس طرح دِل کی

منزلیں الگ کر کے

ساتھ چھوڑ دیتے ھیں

آج ایسا کرتے ھیں

بے سبب بکھرتے ھیں
0

Kabhi daman kabhi palkain bhigona


Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,

Kisi mazlom se pocho k "RONA" kis ko kahtay hain,

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao gay,

K duniya bhar k dukh dil main "SIMONA" kis ko kahtay hain,

Meri ankhy meray charay ko ik din "GHOR" se dekho,

Magar mat puchna "WERAN" hona kis ko kahtay hain,

Tumhara dil kabhi piglay agar"GHUM"ki hararat se,

Tumhain malum ho jae ga k "KHONA"kis ko kehtay hen.
0

Naraz ho hum se

Naraz ho hum se?

Magar hum wo hain jin ko manana bhi nahi aata,
Kisi ne aaj tak hum se mohabbat jo nahi ki hai,
......Mohabbat kis tarah hoti hai?
Humare sheher k itraf main to,
Sakht pehra tha khizaon ka,
Aur is sheher-e-pareshaan ki faseelain,
Zard bailon se ladi theen,
Aur in main na khusboo thi na phool tum jesa,
Mahek uthay humara deeda-o-dil
jis ki qurbat se,

Hum aise sheher ki sunsaan galion main,
Kisi sookhe howe veeran patte ki tarah se thay,
K jub zalim hawa hum per qadam rakhti,
To us k paon k neeche humara dum nikal jaata,
Magar patjhhar k wo mousam,
Suna hai tal chuka hai ab to,
Magar jo haar hona thi,
So wo ho chuki hum ko,
Suno,

Haare howe logon se to rootha nahi kerte...!!!

ÃyyÃsh ÃyyÃn
0

Tu Hi Bata Aey Dil

Tu Hi Bata Aey Dil –e- Be-Taab Humko,
Khush Rehney k Adaab Kahan Aatey hain,
Main tou Usey Sounp Doun Sub Kuch Lekin,
Aik Muthi mein Mere Khuwaab Kahan Aatey hain,
Muddaton Baad Usey Dekh k Dil Bher Aaya,
Werna Sehra’aon mein Silaab Kahan Aatey hain,
Meri Be-Dard Nigahon mein Agr Bhooley Se,
Neend Aaye bhi tou Ab Khuwaab Kahan Aatey hain,
Tanha Rehta hoon Main Din Bher Bhari Duniya mein,
Halaat Burey hoon tou Ehbaab Kahan Aatey hain…!
 
Copyright © Urdu Poetry