0

kabhi ishaq ho to pta chaly


‘‘کبھی عشق ہو تو پتہ چلے‘‘

کبھی عشق ہو تو پتہ چلے

کہ بساط جاں پہ عذاب اترتے ہیں کس طرح

شب و روز دل پہ عتاب اترتے ہیں کس طرح

کبھی عشق ہو تو پتہ چلے

یہ لوگ سے ہیں چھپے ہوئے پس دوستاں


تو یہ کون ہیں


یہ روگ سے ہیں چھپے ہوئے پس جسم و جاں


تو یہ کس لئے


یہ جو کان ہیں میرے آہٹوں پہ لگے ہوئے


تو یہ کیوں بھلا


یہ ہونٹ ہیں صف دوستاں میں سلےہوئے


تو یہ کس لئے


یہ جو اضطراب رچا ہواہے وجود میں


تو یہ کیوں بھلا


یہ جو سنگ سا کوئی آ گرا ہے جمود میں


تو یہ کس لیے


یہ جو دل میں درد چھڑا ہوا ہے لطیف سا


تو یہ کب سے ہے


یہ جو پتلیوں میں عکس ہے کوئی لطیف سا


سو یہ کب سے ہے


یہ جو آنکھ میں کوئی برف سی ہے جمی ہوئی


تو یہ کس لیے


یہ جو دوستوں میں نئی نئی ہےکمی ہوئی


تو یہ کیوں بھلا


یہ لوگ پیچھے پڑے ہوئے ہیں فضول میں


انہیں کیا پتہ


انہیں کیا خبر


کسی راہ کہ کسی موڑ پر جو ذرا انہیں


‘‘کبھی عشق ہو تو پتہ چلے‘‘


آپ کی آرا کا منتظر
عنصر محمود ستی 
0

mohabat jhoot lagti hai mujhy


محبت جھوٹ لگتی ہے مجھے

اک کھوکھلا جذبہ
جسے اظہار کی ہر وقت خواہش ہو
کہے جانے کی سُننے کی
جسے ہر پل ضرورت ہو
“مُجھے تم سے مُحبت ہے “
نہ جانے روز کتنے لوگ اس جُملے کو سنُنے کے لیئے
بیدار ہوتے ہیں
یہ ایسا جھوٹ ہے جس کا سحر صدیوں سے طاری ہے
مگر جاناں
مُحبت جب کبھی اظہار کو ترسے
کوئی تُم سے اگر کہہ دے
“مُجھے تم سے مُحبت ہے ‘‘
تو اُسکی بات مت سُننا
مُحبت روح سے پھوٹے
مُحبت عکس بن جائے
تو تُم کو پھر یقیں آئے
کہ میں نے سچ کہا تُم سے
مُحبت روح بن جائے
تو پھر اُسکا یقیں کرنا
وگرنا ایک جُملہ کوئی کتنی بار دُہرائے
'کہے جائے ‘ نہی سُننا
'مُحبت جھوٹ ہے جاناں

!!!!اگر اظہار کی اسکو ضرورت ہو


اک کھوکھلا جذبہ

آپ کی آرا کا منتظر 
عنصر محمود ستی

mujhy awaz de lena




گئے موسم کی یا د یں جب تمھارا دل جلا ئیں تو

مجھے آواز دے لینا

کسی ما نوس رستے پر کوئی جب تم صدا پاؤ
میری یادوں کی اپنے گھر میں جب تھوڑی جگہ پاؤ

مجھے آواز دے لینا

گئے لمحوں میں میری قربتیں جب یاد آئیں تو
کبھی راتوں میں میری آہٹیں تم کو ستا ئیں تو

مجھے آواز دے لینا

کہیں ایسا نہ ہو میری سما عت تھک کے سو جائے
یہ میرا دل تمھارا تن کسی دوجے کا ہو جائے
تمھیں پانے کی حسرت یونہی دل میں گھٹ کے مر جا ئے
تمھیں احساس نہ ہو اور کوئی جاں سے گزر جائے
تم اس سے پیشتر مجھ پہ میری جاناں کرم کرنا

مجھے آواز دے لینا

مجھے آواز دے لینا...!



آپ کی آرا کا منتظر 
عنصر محمود ستی 

0

mery ishaq ko nidhal kar


میرے عشق کو نڈھال کر
کبھی ہجر کو بھی وصال کر

میری آنکھ کو بینائی دے
میرے قلب کو اجال کر

مجھے درس دے تو فنا کا
میرا عشق میں برا حال کر

مجھے دے سزا کوئی سخت سی
مجھے اس جہاں میں مثال کر

میری اصل صورت بگاڑ دے
کسی عشق بھٹھی میں ڈال کر
0

Andaz-e-biyan

Andaz-e-biyan agarch kuch shokh nahi hai

shayed k utar jaye tery Dil mein meri baat...!
0

Ek baar kar k Aitbaar likh do

Ek baar kar k Aitbaar likh do"
"Kitna hai muj se payar likh do"

"Kat'ti nahi ye zindgi ab tery bina"
"Kitna aur karun Intizaar likh do"
...
"Taras rahy hain bari Muddat se"
"Iss baar apni Mohabbat ki izhar likh do"

"Deewany ho jayein jisy parh kar hum"
"Kuch aisa tum mery yaar likh do"

"Ziada nahi likh sakte to mat likho"
"Mohabbar bhary lafz do char likh do"

"Ek baar likho Mohabbat hai muje tum se"
"Phir yehi Jumla baar baar likh do"

by
0

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi

Tumse Mil Kar Tumhen Bhulna Mushkil Hai Asaan Nahi
Deewane Dil Ko Samjhana, Mushkil Hai Asaan Nahi

Har Rasta,Har Manzar Ab To,Koi Fasana Lagta Hai
Jab Se Tum Aaye Ho,Sara Sheher Suhana Lagta Hai

Jaate Lumho Ka Ruk Jana Mushkil Hai, Asaan Nahi

Jhukti Aankhein, Rukti Sansein, Dard Adhura Kehti Hain
Dil Ki Puri Batein Aksar Dil Ke ander Rehti Hain

Dil Ki Baat, Zubaan Par Lana Mushkil Hai, Asaan Nahi
Jo Hum Chaahein Wo Tum Chaaho, Phir Bhi Kyun Ye Doori Hai?

Mil Kar Bhi Hum Mil Nahi Paate, Ye Kaisi Majboori Hai?
Rasmoo Ki Deewar Giraana Mushkil Hai, Asaan Nahi….. !!!!
0

Usne sab ko bataya ke bohat udaas

Usne sab ko bataya ke bohat udaas hai wo…..
Mujh se kyun na kaha ,ik baar us ne……

mene jo kaha tha ke ik baar keh ke dikhate…
Mujh pe kyun na kiya tha etibaar usne….

Wo khud to mohabbat k bade da’way karta he...
Phir kyun na kiya tha izhaar usne……

Wo kehta ha mujhe tera saath chahiye..
to baddha ke kyun na thaama mera haath usne….

Wo kehta hai tu mere dil me rehta hai..
phir kyun kiye itnay inkaar usne….

Milo ge mujhe to mill jaye gi zindagi mujh ko…
itna he keh dia hota,Bus..ik baar usne….!!!!
0

Usey keh dena "WAFA" isko nhi kehty

Usey keh dena "WAFA" isko nhi kehty 

"WAFA" kuch aur hoti hy

"MOHABAT" karny walon ki "AADA" kuch aur hoti hy 
Tumhein "DEKHA"
Tumhein "CHAHA"
Tumhi se "PIYAR" kar bethy

" SUNO"
"PATHAR" k dil walon
"MOHABAT" aesi nhi hoti
Agarche "GHAM" ka mara hun
Magar tum ko na bholon ga 

"K"""""
"DEWANO" k honton par
"DUA" kuch aur hoti hy
TARAP" uthe gi ye duniya
Agar roye ga "DIL" mera

"K"""""""""
"DIL" se jo nikalti hy
Wo "SADA" kuch aur hoti hy
"WAFA" isko nhi kehty 

"WAFA" kuch aur hoti hy...........

by
0

Tumhari zindagi mein

tumhari zindagi mein

main kahan par hoon?

Hawa e subha mein

ya sham k pehlay sitaray mein

jhijakti boonda baandi mein

keh bayhad taiz barish mein

ro pehli chandni mein

ya keh phir tapti dopeharon mein

bohat gehray khayalon mein

keh bayhad sarsari dhuun mein

tumhari zindagi mein

mein kahan par hoon,

keh ik khaab e muhabbat tootnay,

aur doosra aaghaz honay kay,

kahin maabain ik baynaam lamhay ki faraghat?

Tumhari zindagi mein

main kahan par hoon?
0

Ai Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se

Ai Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se
Nafrat Gah-E- Aalam Se, Laanat Gah-E-Hasti Se
In Nafs Paraston Se, Is Nafs Parasti Se

Door Aur Kaheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Maghrib Ki Hawaon Se Aawaz Si Aati Hai
Aur Hum Ko Samandar Ke Us Paar Bulaati Hai
Shayad Koi Tanhaai Ka Daiss Bataati Hai

Chal Us Ke Qareen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Hum Prem Pujaari Hain Tu Prem Kanhayya Hai
Tu Prem Kanhayya Hay Ye Prem Ki Nayya Hai
Ye Prem Ki Nayya Hay, Tu Is Ka Khiwayya Hai

Kuch Fik'r Nahin Le Chal
Ai Ishq Keheen Le Chal

Ye Dard Bhari Duniya Basti Hai Gunahon Ki
Dil Chaak Umeedon Ki, Saffaak Nigahon Ki
Zulmon Ki, Jafaon Ki, Aahon Ki, Karahon Ki

Hain Ghum Se Hazeen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Aankhon Main Samaai Hai, Ik Khwaab-Numa Duniya
Taaron Ki Tarah Raushan, Mehtaab-Numa Duniya
Jannat Ki Tarah Rangeen, Shadaab-Numa Duniya

Lillah Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ai Ishq Humain Le Chal Ik Noor Ki Vaadi Main
Ik Khwaab Ki Duniya Main, Ik Toor Ki Vaadi Main
Khoron Ke Khayalaat-E- Masroor Ki Vaadi Main

Ta-Khuld-E- Bareen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ik Aisi Fiza Jis Tak Ghum Ki Na Rasaai Ho
Duniya Ki Hawa Jis Main Sadiyon Se Na Aai Ho
Ai Ishq Jahan Tu Ho Aur Teri Khudaai Ho

Ai Ishq Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ik Aisi Jagah Jis Main Insaan Na Baste Hon
Ye Makr-O Jafa Pesha Haiwaan Na Baste Hon
Insaan Ki Qaba Main Yeh Shaitaan, Na Baste Hon

To Khouf Nahi Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

In Chaand Sitaron Ke Bikhre Huwe Shehron Main
In Noor Ki Kirnon Main Tehri Hoi Lehron Main
Thehri Hui Lehron Main, Soi Hui Nehron Main

Ai Hizr-E- Haseen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ik Aisi Bahisht Aain Vaadi Main Pahunch Jain
Jis Main Kabhi Duniya Ke Ghum Dil Ko Na Tadpaain
Aur Jis Ki Baharon Main Jeene Ke Maze Aain

Le Chal, Tu Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

by: Asif Khan
 
Copyright © Urdu Poetry