1

Mere Humsafer, mere Hum-nasheen

Mere Humsafer, mere Hum-nasheen


Main ne Rab se manga to kuch nahi


Per jub bhi mangi koi dua!


Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”


Ye talab kya k mera Khuda!




Naye ehad ki
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,


Wo ata kre tujhe manzlain,


Ye talab kya k mera Khuda!


Tujhe Bakht de,


Tujhe Taj de


Tujhe Takht de,


Mere Humsafer,


Mere Chara-ger,


Ye hai mohabbat ka khatan safer


Mere sath chalna zra soch ker


Mere pass zarr na koi hunar


Phir bhee dekh to mera hosla


Mere paas jo kuch, Sabhi tera


Nahi aur kuch bhi tere siwa


Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,


K jo mil saken mere Daam bhi,


Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;


Mere chara gr tu yaqin to kr


Mujhe mangna to na aa ska


Main ne phir bhi mangi yehi Dua


K gwahi de ga mera Khuda


Maine jub b us se talab kya!


Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”






by
Sonia Waqas

0

akhon Thy Ghum'gusar

 akhon Thy Ghum'gusar
Abi Kal Ki Baat Hy
Kitna Tha Hum Se Pyar
Abi Kal Ki Bat Hy

Khwab-o-Khyal Me B
Na Tha Khizan Ka Gumaan
Aai Thi Ek Bahaar
Abi Kal Ki Baat Hy

Ek Be'kasi Me Koi
Ab Pochta Nahi
Kitna Tha Soog'war
Abi Kal Ki Baat Hy

Majboor Hon
Bhula Nahi Skta Teri Yaad
Tha DIL Py Kitna Ikhtiyar
Abi Kal Ki Baat Hy

Ab Baat Tak Krna
Gawara Nahi Krty
Jo Krty Thy jan Nisar
Abi Kal Ki Baat Hy


by
hania sajjad

0

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko


Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

Source

Bollywood Movies

0

JANTI HOON TUM MERE HO NAHI SAKTY


 JANTI HOON TUM MERE HO NAHI SAKTY,,
JANNE KIU,

TUM SE BAATTY KARNA,

TUMHARE SAAT WAQQT GUZARNA,

MUJHAI ACHA LAGTTA HAI,

JANTI HOON
TUM MERE HO NAHI SAKTY,

YE ZADE DIL KO KSAY SAMJHAO,

NAA JANE KIA BAAT HAI ESE,

TERE LEHJE KI TASER MIN KHAO SAA JAATA HAI,

AJEB SOROR SA CHA JAATA HAI

DILL MAIN NASHA BAN K UTTAR SA JATTA HAI,

JANTI HOON TUM MERE HO NAHI SAKTY,

DIL MAIN DARD KI LEHR UTHE HAI

EK WEHSHAT SE CHA JATI HAI

JAB MAIN YE KABI YE SOHTI HOON

TUM MERE HO NAHI SAKTY.... :(

Jab raat ky tanha daman mein


Jab raat ky tanha daman mein"

"Tum chand ko madham pao gay"

"Jab khud sy batain karty karty"

"Tum door kahin kho jao gay"

"Jab dil ki baat chupanay ko"

"Tum hum sy nazar churao gay"

"Hum tum sy muhabat krtay hain"

"Her baar ye kehna chaho gay"

"In sab lamhon mein jaan lena"

"Tum,TUM se HUM bn jao gy .

by
hania sajjad

0

Dil Udaas Hai Bohut


Dil Udaas Hai Bohut Koi Paigaam Hi Likh Do
Tum Apna Naam Na Likho, Gum-Naam Hi Likh Do

Meri Qismat Mein Gham-E-Tanhai Hai Lekin
Tamaam Umr Na Likho Magar Ek Shaam Hi Likh Do

Zaroori Nahi Ki Mil Jaye Sukoon Har Kisi Ko
Sare-E-Bazm Na Aao Magar Benaam Hi Likh Do

Ye Janta Hoon Ki Umr Bhar Tanha Mujhko Rehna Hai
Magar Pal Do Pal,Ghadi Do Ghadi, Mere Naam Hi Likh Do

Chalo Hum Maan Lete Hai Ke Saza Ke Tehre Hum
Koi Inam Na Likho Koyi ilzam Hi Likh Do

0

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

shaam ke waqt safar kyaa karte

terii masrufiyateN jaante the

apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye

le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

wo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa

saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii

kar ke zarre ko gauhar kyaa karte —

by
nisa zain

 
Copyright © Urdu Poetry