Umeed abhi kuch baqi hai

Ek basti basne wali hai,

Jis basti me koi zulm na ho
or jeena koi jurm na ho,

wahan phool khushi ke khilte hon,
or Mausam saare miltay hon,

Bus rang o noor barastay hon
or saare hanste bastay hon,

Umeed hai aisi basti ki
Jahan jhoot ka karobar na ho,

Dehshat ka bazar na ho
Jeena bhi dushwar na ho,

Marna bhi aazar na ho
Ye basti kash tumhari ho
ye basti kash hamari ho,

Wahan Khoon ki holi aam na ho'
us aangan gham ki shaam na ho,

Jahan munsif se insaaf mile
Dil sab ka sab se saaf mile,

Ik aas hai aisi basti ho
Jahan ROTI zehar se sasti ho,

Umeed abhi kuch baqi hai
Ek basti basne wali hai,


Source

Bollywood Movies

11 comments:

Muhammad Adnan said...

may i know the name of poet??

Anonymous said...

Its not a poetry its a song plz upload its song

Anonymous said...

its a song who play an rj zeeshan adil on fm 101 at thursday 12.oo am

Qasim Asadullah said...

sound's similar to Faiz ahmad Faiz's Ek aur Jahaan mumkin hai

Hai Baji said...
This comment has been removed by the author.
Anonymous said...

ye mery hath ki poetr likhi hwi hai so aap kaisy author bn skty hain 03013353442 plz call if u say that its ur poetry

Unknown said...

great!!

Unknown said...

great!!

Unknown said...

plz i want to know ye poetry kis ny likha hai i choose it as may theme for final thesis to work on it .i am doing textile desinging .

Unknown said...

writer name and introduction kuch bh nhe internet per is poetry ka

Unknown said...

writer name and introduction kuch bh nhe internet per is poetry ka

Post a Comment

 
Copyright © Urdu Poetry