26

Googngi Ho gayi Zuban (Allama Iqbal)




Goongi ho Gai aaj Zuban kuch kehte kehte
Hichkicha gaya main khud ko musalman kehte kehte

Ye baat nahi keh mujh ko Us par yaqeen nahi
Bas dar gaya khud ko Saahib e Imaan kehte kehte

Tofeeq na huwi mujhe ek waqt ki namaaz ki
Aur chup huwa moazzan Azaan kehte kehte

Kisi kafir ne jo poocha ke ye kia hai Maheena?
Sharam se paani haath se gir gaya, Ramzan kehte kehte

Meri almaari me gard se atti KITAAB ka jo Poocha,
Main garh gaya zameen main, Quraan kehte kehte

Yeh sun ke chup saadh li "IQBAL" us ne
Yoon laga jese ruk gaya wo mujhe, Hewaan kehte kehte.

Bollywood Movies


0

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana


Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana





Saink'roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke

Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana





Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai

Muhjey Insaan Samjh Khud Ko Farishta Na Bana





Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey

Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana





Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon

Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana




Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain

Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana

0

Raah mein har ek ko chor dena us ke aadat thi

Woh mere har jhoot se khush hota tha
Jise hamesha sach bolne ki aadat thi

Woh ek aanso bhi girne per khafa hota tha
Jise tanhaai mein rone ki aadat thi

Woh kehta tha ke mujhe bhool jaye ga
Jise meri har baat yaad rakhne ki aadat thi

Hamesha maafi mangne ke dar se
Roz galtiyan kerna us ki aadat thi

Woh jo dil o jaan nichaver kerta tha mujh per
Magar choti si baat per rothna us ki aadat thi

Hum us ke saath chal diye yeh jante huwe bhi
Raah mein har ek ko chor dena us ki aadat thi

0

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…

 aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…

 jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…

 khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

Itni muddat baad

Itni muddat baad mile ho!


Kin sochon main gum rehte ho?


Itne khayef kyon rehte ho?


Her aahat se darr jaate ho


Taiz hawa ne mujh se poocha


Rait pe kya likhte rehte ho?


Kaash koi humse bhi pooche


Raat gaye tuk kyon jaage ho?


Main darya se bhi darta hoon


Tum darya se bhi gehre ho!


Koun si baat hai tum main aisi


Itne ache kiun lagte ho !!!!!

10

Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein

Meer Taqi Meer




Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya

Dekha ! Is Beemaari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tammam Kiya



Ahad-E-Jawaani Ro Ro Kaata, Peeri Mein Li Aankhein Moond

Yaani Raat Bahut The Jaage, Subah Huyi Aaraam Kiya



Naahak Ham Majbooron Par Yeh Tohmat Hai Mukhtaari Ki

Chaahte Hain So Aap Kare Hain Hamko Abas Badnaam Kiya



Yaan Ke Sapaid-O-Siyaah Mein Hamko Dakhl Jo Hai So Itna Hai

Raat Ko Ro Ro Subah Kiya Ya Din Ko Jun Tun Shaam Kiya



‘Meer’ Ke Deen-O-Mazhab Ko Ab Poocho Kya Ho Un Ne To

Kashqaan Khaincha, Deher Mein Baitha, Kab Ka Tarq-Islaam Kiya

0

Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha

Majeed Amjad

Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha
Anjuman Anjuman Raha Tanha

Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se
Koi Guzra Hai Baaraha, Tanha

Teri Aahat Qadam Qadam, Aur Main
Us Mayi’yat Mein Bhi Raha Tanha
Kuhna Yaadon Ke Barf-E-Zaaron Se
Ek Aansoo Baha, Baha Tanha

Doobte Saahil Ke Mod Pe Dil
Ik Khandhar Sa Raha Saha, Tanha

Goonjta Reh Gaya Khalaon Mein
Waqt Ka Ek Kehkaha, Tanha
3

Saare Jahan Se Acha, Indian Anthem



Saare Jahaan Se Achha Hindostaan Hamaara

Ham Bulbule Hain Iski, Yeh Gulsitaan Hamaara



Gurbat Mein Ho Agar Ham, Reh Hai Dil Watan Mein

Samjho Wahi Hamein Bhi, Dil Ho Jahaan Hamaara



Parbat Wo Sabse Ooncha, Hamsaaya Aasmaan Ka

Wo Santari Hamaara, Wo Paasbaan Hamaara



Godi Mein Khelti Hai, Iski Hazaaron Nadiyaan

Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashq-E-Hina Hamaara



Aye Aab-E-Rood-E-Ganga, Woh Din Hai Yaad Tujhko

Utra Tere Kinaare Jab Kaarawaan Hamaara



Mazhab Nahin Sikhaata, Aapas Mein Bair Rakhna

Hindi Hain Ham, Watan Hai Hindostaan Hamaara



Yunaan-O-Misr-O-Ruma, Sab Mita Gaye Jahaan Se

Ab tak Magar Hai Baaqi Naam-O-Nishaan Hamaara



Tauheed Ki Amaanat Seenon Mein Hai Hamaare

Aasaan Nahin Mitaana Naam-O-Nishaan Hamaara
0

Dard Ki Baarish Sahi Mad’dham

Mumtaz Raashid

Dard Ki Baarish Sahi Mad’dham, Zara Aahista Chal
Dard Ki Mitti Abhi Tak Hai Nam, Zara Aahista Chal

Tere Milne Aur Phir Tere Bichhud Jaane Ke Beech
Faasla Ruswaayi Ka Hai Kam, Zara Aahista Chal

Dard Ki Baarish Apne Dil Hi Mein Nahin Hai
Uski Mehroomi Ki Yaad,
Uski Khunkhi Mein Bhi Hai Dard Ki Baarish

Na Ho Khush Is Qadar, Ab Ke Logon Mein Wafa
Hai Kam, Zara Aahista Chal
5

Sad Poetry : Hamariweb.com - بند پلکیں

Poetry urdu

http://www.hamariweb.com/poetries/Poetry.aspx?id=25426

---
This message was sent by irfan454454@gmail.com via http://addthis.com. Please note that AddThis does not verify email addresses.

Make sharing easier with the AddThis Toolbar: http://www.addthis.com/go/toolbar-em

To unsubscribe, visit http://www.addthis.com/privacy/email-opt-out?e=.2VvAmARaEQzRDJFMl52H2MEdAlGEmofYRdjAigTaR0 in your web browser.

1

Shairy by Waqas


Mohabat kartey hen iss qadar tum sey hum jaan,

Mohabat kartey rahen gey jab tak hey iss jaan mey jaan,

Mohabat kartey hen tumhen apni jaan sey ziada jaan,

Is mohabat ka iqrar hum har lamha kartey rahen gey jaan,

Jab tak hey iss jaan mey jaan, meri jaan!

 

 

Dekha meyne usey jab sey,

Woo yadoon mey rehney lagi hey tab sey

Mehsoos karney laga hoon tab sey

Key hoo gai hey mohabat mujhey uss sey

Bass gai hey woo nigahoon mey tab sey

Dur rehna bardash nahi hota ab muj sey

Mangu mey yeh dua rab sey

Mil jao tum mujhey jald sey

 

 



Hotmail: Powerful Free email with security by Microsoft. Get it now.
 
Copyright © Urdu Poetry