zakhm-e-tanhai

zakhm-e-tanhai mein khushbu-e-hina kis ki thi....
sayaa diwaar pe mera tha; sada kis ki thi...........

uski raftaar se lipati rahi meri aankhain..............
us ne murr kar bhi na dekha ke wafa kis ki thi....

waqt ki tarah dabe paoon ye kaun aya hai..........
main andhera jisay samajha woh qaba kis ki thi.

ansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera........
hath to main ne uthaaye they dua kis ki thi.........

meri aahon ki zaban koi samajhata kaise......
zindagii itani dukhi meray siva kis ki thi....

aag se dosti us ki thi jala ghar mera....
di gai kis ko saza aur Khata kis ki thi.....

main ne biinaiyaan bo kar bhi andheray katay.....
kis ke bas mein thi zameen abr-o-hava kis ki thi..

chhor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniyaa......
justjuu si tujhey har waqt bata kis ki thii.....

0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © Urdu Poetry